Surah Al-Hujraat Verse 11 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Hujraatيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا يَسۡخَرۡ قَوۡمٞ مِّن قَوۡمٍ عَسَىٰٓ أَن يَكُونُواْ خَيۡرٗا مِّنۡهُمۡ وَلَا نِسَآءٞ مِّن نِّسَآءٍ عَسَىٰٓ أَن يَكُنَّ خَيۡرٗا مِّنۡهُنَّۖ وَلَا تَلۡمِزُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ وَلَا تَنَابَزُواْ بِٱلۡأَلۡقَٰبِۖ بِئۡسَ ٱلِٱسۡمُ ٱلۡفُسُوقُ بَعۡدَ ٱلۡإِيمَٰنِۚ وَمَن لَّمۡ يَتُبۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aey logon jo imaan laye ho, na mard dusre mardon ka mazaak udayein, ho sakta hai ke woh unse behtar hon, aur na auratein dusri auraton ka mazaak udayein, ho sakta hai ke woh unse behtar hon. Aapas mein ek dusre par taan na karo, aur na ek dusre ko burey alaqab (titles) se yaad karo. Imaan lane ke baad fisq mein naam paida karna bahut buri baat hai. Jo log is rawish se baaz na aayein wahi zalim hain