Surah Al-Hujraat Verse 12 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Hujraatيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱجۡتَنِبُواْ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلظَّنِّ إِنَّ بَعۡضَ ٱلظَّنِّ إِثۡمٞۖ وَلَا تَجَسَّسُواْ وَلَا يَغۡتَب بَّعۡضُكُم بَعۡضًاۚ أَيُحِبُّ أَحَدُكُمۡ أَن يَأۡكُلَ لَحۡمَ أَخِيهِ مَيۡتٗا فَكَرِهۡتُمُوهُۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ تَوَّابٞ رَّحِيمٞ
Aey logon jo imaan laaye ho, bahut gumaan (suspicion)karne se parheiz karo ke baaz gumaan (suspicion) gunaah hote hain. Tajassus (jasusi) na karo aur tum mein se koi kisi ki geebat na karey. kya tumhare andar koi aisa hai jo apne marey(dead) huey bhai ka gosht khana pasand karega? Dekho, tum khud is se gheen khate ho. Allah se daro, Allah bada tawbah qabool karne wala aur Raheem hai