Surah Qaf - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
قٓۚ وَٱلۡقُرۡءَانِ ٱلۡمَجِيدِ
Qaaf, Kasam hai quran-e-majeed ki
Surah Qaf, Verse 1
بَلۡ عَجِبُوٓاْ أَن جَآءَهُم مُّنذِرٞ مِّنۡهُمۡ فَقَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا شَيۡءٌ عَجِيبٌ
Balke in logon ko taajub is baat par hua ke ek khabardar karne wala khud inhi mein se inke paas aa gaya, phir munkireen kehne lagey “yeh to ajeeb baat hai
Surah Qaf, Verse 2
أَءِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗاۖ ذَٰلِكَ رَجۡعُۢ بَعِيدٞ
Kya jab hum mar jayenge aur khaak (mitti) ho jayenge (to dobara uthaye jayenge)? Yeh wapasi to aqal se baeed hai”
Surah Qaf, Verse 3
قَدۡ عَلِمۡنَا مَا تَنقُصُ ٱلۡأَرۡضُ مِنۡهُمۡۖ وَعِندَنَا كِتَٰبٌ حَفِيظُۢ
Zameen inke jism mein se jo kuch khati hai woh sab hamare ilm mein hai aur hamare paas ek kitaab hai jismein sab kuch mehfooz hai
Surah Qaf, Verse 4
بَلۡ كَذَّبُواْ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ فَهُمۡ فِيٓ أَمۡرٖ مَّرِيجٍ
Balke in logon ne to jis waqt haqq inke paas aaya usi waqt usey saaf jhutla diya. Isi wajah se ab yeh uljhan mein padey huey hain
Surah Qaf, Verse 5
أَفَلَمۡ يَنظُرُوٓاْ إِلَى ٱلسَّمَآءِ فَوۡقَهُمۡ كَيۡفَ بَنَيۡنَٰهَا وَزَيَّنَّـٰهَا وَمَا لَهَا مِن فُرُوجٖ
Accha, to kya inhon ne kabhi apne upar aasmaan ki taraf nahin dekha? Kis tarah humne usey banaya aur aarasta (zeenat/ beautify) kiya, aur usmein kahin koi rakhna(cracks/rifts) nahin hai
Surah Qaf, Verse 6
وَٱلۡأَرۡضَ مَدَدۡنَٰهَا وَأَلۡقَيۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ وَأَنۢبَتۡنَا فِيهَا مِن كُلِّ زَوۡجِۭ بَهِيجٖ
Aur zameen ko humne bichaya aur ismein pahadh jamaye aur uske andar har taraah ki khush manzar nabataat uga di
Surah Qaf, Verse 7
تَبۡصِرَةٗ وَذِكۡرَىٰ لِكُلِّ عَبۡدٖ مُّنِيبٖ
Yeh saari cheezein aankhein kholne wali aur sabaq dene wali hain har us bandey ke liye jo (haqq ki taraf) rujoo karne wala ho
Surah Qaf, Verse 8
وَنَزَّلۡنَا مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ مُّبَٰرَكٗا فَأَنۢبَتۡنَا بِهِۦ جَنَّـٰتٖ وَحَبَّ ٱلۡحَصِيدِ
Aur aasmaan se humne barkat wala paani naazil kiya,phir ussey baagh aur fasal ke galley
Surah Qaf, Verse 9
وَٱلنَّخۡلَ بَاسِقَٰتٖ لَّهَا طَلۡعٞ نَّضِيدٞ
Aur buland o baala khajoor ke darakht paida kardiye jinpar phalon(fruits) se ladey khoshey teh-bar-teh lagte (fruit arranged in layers) hain
Surah Qaf, Verse 10
رِّزۡقٗا لِّلۡعِبَادِۖ وَأَحۡيَيۡنَا بِهِۦ بَلۡدَةٗ مَّيۡتٗاۚ كَذَٰلِكَ ٱلۡخُرُوجُ
Yeh intizaam hai bandon ko rizq dene ka is pani se hum ek murda zameen ko zindagi baksh dete hain (marey huey Insano ka zameen se) nikalne bhi isi tarah hoga
Surah Qaf, Verse 11
كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ وَأَصۡحَٰبُ ٱلرَّسِّ وَثَمُودُ
In se pehle Nooh ki qaum, aur ashab-ur-rass ,aur Samood
Surah Qaf, Verse 12
وَعَادٞ وَفِرۡعَوۡنُ وَإِخۡوَٰنُ لُوطٖ
Aur Aad, aur Firoun , aur Lut ke bhai
Surah Qaf, Verse 13
وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡأَيۡكَةِ وَقَوۡمُ تُبَّعٖۚ كُلّٞ كَذَّبَ ٱلرُّسُلَ فَحَقَّ وَعِيدِ
Aur aykah( dwellers in the wood) wale, aur tubba ki qaum ke log bhi jhutla chuke hain har ek ne Rasoolon ko jhutlaya , aur aakhir e kaar meri waeed(threat) un par chaspan ho gayi
Surah Qaf, Verse 14
أَفَعَيِينَا بِٱلۡخَلۡقِ ٱلۡأَوَّلِۚ بَلۡ هُمۡ فِي لَبۡسٖ مِّنۡ خَلۡقٖ جَدِيدٖ
Kya pehli baar ki takhleeq(creation) se hum aajiz (worn out) thay? Magar ek nayi takhleeq ki taraf se yeh log shakk mein padey huey hain
Surah Qaf, Verse 15
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ وَنَعۡلَمُ مَا تُوَسۡوِسُ بِهِۦ نَفۡسُهُۥۖ وَنَحۡنُ أَقۡرَبُ إِلَيۡهِ مِنۡ حَبۡلِ ٱلۡوَرِيدِ
Humne Insaan ko paida kiya hai aur uske dil mein ubharne wale waswason tak ko hum jaante hain. Hum to us ki rag-e-gardan(jugular vein) se bhi zyada us se qareeb hain
Surah Qaf, Verse 16
إِذۡ يَتَلَقَّى ٱلۡمُتَلَقِّيَانِ عَنِ ٱلۡيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ قَعِيدٞ
(aur hamare is barah-e-raast ilm ke alawa)do kaatib(scribes) uske dayein aur bayein baithay(farishtey) har cheez sabt(likh) kar rahe hain
Surah Qaf, Verse 17
مَّا يَلۡفِظُ مِن قَوۡلٍ إِلَّا لَدَيۡهِ رَقِيبٌ عَتِيدٞ
Koi lafz us ki zubaan se nahin nikalta jisey mehfooz karne ke liye ek hazir baash nigraan maujood na ho
Surah Qaf, Verse 18
وَجَآءَتۡ سَكۡرَةُ ٱلۡمَوۡتِ بِٱلۡحَقِّۖ ذَٰلِكَ مَا كُنتَ مِنۡهُ تَحِيدُ
Phir dekho, woh maut ki jaan-kani (agony of death) haqq lekar aa pahunchi, yeh wahi cheez hai jisse tu bhaaghta tha
Surah Qaf, Verse 19
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِۚ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡوَعِيدِ
Aur phir sur (trumpet) phoonka gaya, yeh hai woh din jiska tujhe khauf dilaya jata tha
Surah Qaf, Verse 20
وَجَآءَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّعَهَا سَآئِقٞ وَشَهِيدٞ
Har shaks is haal mein aa gaya ke uske saath ek haank(drive) kar lane wala hai aur ek gawahi dene wala
Surah Qaf, Verse 21
لَّقَدۡ كُنتَ فِي غَفۡلَةٖ مِّنۡ هَٰذَا فَكَشَفۡنَا عَنكَ غِطَآءَكَ فَبَصَرُكَ ٱلۡيَوۡمَ حَدِيدٞ
Is cheez ki taraf se tu gaflat mein tha, humne woh purda hata diya jo tere aagey pada hua tha aur aaj teri nigaah khoob tez hai
Surah Qaf, Verse 22
وَقَالَ قَرِينُهُۥ هَٰذَا مَا لَدَيَّ عَتِيدٌ
Uske saathi ne arz kiya ye jo meri supurdgi mein tha haazir hai
Surah Qaf, Verse 23
أَلۡقِيَا فِي جَهَنَّمَ كُلَّ كَفَّارٍ عَنِيدٖ
Hukum diya gaya “phenk do jahannum mein har katte (hardened, stubborn) kaafir ko jo haqq se inaad rakhta tha
Surah Qaf, Verse 24
مَّنَّاعٖ لِّلۡخَيۡرِ مُعۡتَدٖ مُّرِيبٍ
Khair ko roakne wala aur hadd se tajauz (exceeds the limits) karne wala tha, shakk mein pada hua tha
Surah Qaf, Verse 25
ٱلَّذِي جَعَلَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَأَلۡقِيَاهُ فِي ٱلۡعَذَابِ ٱلشَّدِيدِ
Aur Allah ke saath kisi dusre ko khuda banaye baitha tha. Daal do usey sakht azaab mein”
Surah Qaf, Verse 26
۞قَالَ قَرِينُهُۥ رَبَّنَا مَآ أَطۡغَيۡتُهُۥ وَلَٰكِن كَانَ فِي ضَلَٰلِۭ بَعِيدٖ
Uske saathi ne arz kiya “khuda-wanda, maine isko sarkash nahin banaya balke yeh khud hi parle darje ki gumrahi mein pada hua tha”
Surah Qaf, Verse 27
قَالَ لَا تَخۡتَصِمُواْ لَدَيَّ وَقَدۡ قَدَّمۡتُ إِلَيۡكُم بِٱلۡوَعِيدِ
Jawab mein irshad hua “mere huzoor jhagda na karo, main tumko pehle hi anjaam-e-badd se khabardar kar chuka tha
Surah Qaf, Verse 28
مَا يُبَدَّلُ ٱلۡقَوۡلُ لَدَيَّ وَمَآ أَنَا۠ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
Mere haan (yahan) baat palti nahin jaati aur main apne bandon par zulm todhne wala nahin hoon”
Surah Qaf, Verse 29
يَوۡمَ نَقُولُ لِجَهَنَّمَ هَلِ ٱمۡتَلَأۡتِ وَتَقُولُ هَلۡ مِن مَّزِيدٖ
Woh din jabke hum jahannum se puchenge kya tu bhar gayi? Aur woh kahegi kya aur kuch hai
Surah Qaf, Verse 30
وَأُزۡلِفَتِ ٱلۡجَنَّةُ لِلۡمُتَّقِينَ غَيۡرَ بَعِيدٍ
Aur Jannat muttaqin ke qareeb le aayi jayegi, kuch bhi dur na hogi
Surah Qaf, Verse 31
هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِكُلِّ أَوَّابٍ حَفِيظٖ
Irshad hoga “yeh hai woh cheez jiska tumse waada kiya jata tha, har us shaks ke liye jo bahut rujoo karne wala aur badi nigehdaasht (watchful of his conduct) karne wala tha
Surah Qaf, Verse 32
مَّنۡ خَشِيَ ٱلرَّحۡمَٰنَ بِٱلۡغَيۡبِ وَجَآءَ بِقَلۡبٖ مُّنِيبٍ
Jo bay dekhe Rehman se darta tha, aur jo dil-e-girwida liye huey aaya hai
Surah Qaf, Verse 33
ٱدۡخُلُوهَا بِسَلَٰمٖۖ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡخُلُودِ
Dakhil ho jao Jannat mein salamati ke saath” woh din hayat-e-abadi (eternity) ka din hoga
Surah Qaf, Verse 34
لَهُم مَّا يَشَآءُونَ فِيهَا وَلَدَيۡنَا مَزِيدٞ
Wahan unke liye woh sab kuch hoga jo woh chahenge, aur hamare paas issey zyada bhi bahut kuch unke liye hai
Surah Qaf, Verse 35
وَكَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّن قَرۡنٍ هُمۡ أَشَدُّ مِنۡهُم بَطۡشٗا فَنَقَّبُواْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ هَلۡ مِن مَّحِيصٍ
Hum unse pehle bahut si qaumon ko halaak kar chuke hain jo insey bahut zyada taaqatwar thi aur duniya ke mulkon ko unhon ne chaan maara tha phir kya woh koi jaaye panaah paa sakey
Surah Qaf, Verse 36
إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكۡرَىٰ لِمَن كَانَ لَهُۥ قَلۡبٌ أَوۡ أَلۡقَى ٱلسَّمۡعَ وَهُوَ شَهِيدٞ
Is tareekh mein ibrat ka sabaq hai har us shaks ke liye jo dil rakhta ho, ya jo tawajju se baat ko suney
Surah Qaf, Verse 37
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَمَا بَيۡنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ وَمَا مَسَّنَا مِن لُّغُوبٖ
Humne zameen aur aasmaano ko aur unke darmiyan ki saari cheezon ko chey(six) dino mein paida kardiya aur humein koi thakaan laahiq na hui
Surah Qaf, Verse 38
فَٱصۡبِرۡ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ قَبۡلَ طُلُوعِ ٱلشَّمۡسِ وَقَبۡلَ ٱلۡغُرُوبِ
Pas aey Nabi, jo baatein yeh log banate hain unpar sabr karo, aur apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte raho, tulu-e-aftaab( rising of the sun ) aur guroob-e-aftaab( before its setting ) se pehle
Surah Qaf, Verse 39
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَسَبِّحۡهُ وَأَدۡبَٰرَ ٱلسُّجُودِ
Aur raat ke waqt phir uski tasbeeh karo aur sajda reizion se faarig honay ke baad bhi(wake of prostration)
Surah Qaf, Verse 40
وَٱسۡتَمِعۡ يَوۡمَ يُنَادِ ٱلۡمُنَادِ مِن مَّكَانٖ قَرِيبٖ
Aur suno, jis din munadi (pukaar) karne wala (har shaks ke)qareeb hi se pukarega
Surah Qaf, Verse 41
يَوۡمَ يَسۡمَعُونَ ٱلصَّيۡحَةَ بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكَ يَوۡمُ ٱلۡخُرُوجِ
Jis din sab log aawaza-e-hashar ko theek theek sun rahey honge, woh zameen se murdon ke nikalne ka din hoga
Surah Qaf, Verse 42
إِنَّا نَحۡنُ نُحۡيِۦ وَنُمِيتُ وَإِلَيۡنَا ٱلۡمَصِيرُ
Hum hi zindagi bakshte hain aur hum hi maut detey hain, aur hamari hi taraf us din sabko palatna hai
Surah Qaf, Verse 43
يَوۡمَ تَشَقَّقُ ٱلۡأَرۡضُ عَنۡهُمۡ سِرَاعٗاۚ ذَٰلِكَ حَشۡرٌ عَلَيۡنَا يَسِيرٞ
Jab zameen phategi log uske andar se nikal kar teiz teiz bhage ja rahe honge. Yeh hashar hamare liye bahut aasaan hai
Surah Qaf, Verse 44
نَّحۡنُ أَعۡلَمُ بِمَا يَقُولُونَۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِجَبَّارٖۖ فَذَكِّرۡ بِٱلۡقُرۡءَانِ مَن يَخَافُ وَعِيدِ
Aey Nabi, jo baatein yeh log bana rahe hain unhein hum khoob jaante hain, aur tumhara kaam inse jabran (zabardasti) baat manwana nahin hai. Bas tum is Quran ke zariye se har us shaks ko nasihat kardo jo meri tambeeh se darey
Surah Qaf, Verse 45