Surah Al-Araf Verse 157 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلرَّسُولَ ٱلنَّبِيَّ ٱلۡأُمِّيَّ ٱلَّذِي يَجِدُونَهُۥ مَكۡتُوبًا عِندَهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَٱلۡإِنجِيلِ يَأۡمُرُهُم بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَىٰهُمۡ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُحِلُّ لَهُمُ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَيُحَرِّمُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡخَبَـٰٓئِثَ وَيَضَعُ عَنۡهُمۡ إِصۡرَهُمۡ وَٱلۡأَغۡلَٰلَ ٱلَّتِي كَانَتۡ عَلَيۡهِمۡۚ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِهِۦ وَعَزَّرُوهُ وَنَصَرُوهُ وَٱتَّبَعُواْ ٱلنُّورَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ مَعَهُۥٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
(Pas aaj yeh rehmat un logon ka hissa hai) jo is paigambar, Nabi e ummi ki pairwi ikhtiyar karein jiska zikr unhein apne haan Taurat aur Injil mein likha hua milta hai. Woh unhein neki ka hukum deta hai, badhi (all corrupt things) se roakta hai, unke liye paak cheezein halaal aur napaak cheezein haraam karta hai, aur unpar se woh bojh utaarta hai jo unpar laday huey thay aur woh bandishein kholta hai jin mein woh jakdey huey thay. Lihaza jo log ispar iman layein aur iski himayat aur nusrat karein aur woh us roshni ki pairwi ikhtiyar karein jo iske saath nazil ki gayi hai, wahi falaah paney waley hain