Surah Al-Araf Verse 57 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَهُوَ ٱلَّذِي يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَقَلَّتۡ سَحَابٗا ثِقَالٗا سُقۡنَٰهُ لِبَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَنزَلۡنَا بِهِ ٱلۡمَآءَ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِۚ كَذَٰلِكَ نُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Aur woh Allah hi hai jo hawaon ko apni rehmat ke aagey aagey khush-khabri liye huey bhejta hai, phir jab woh pani se ladey huey badal utha leti hain to unhein kisi murda sar-zameen ki taraf harakat deta hai, aur wahan meh (barish) barsa kar (usi mari hui zameen se) tarah tarah ke phal nikal laata hai. Dekho, is tarah hum murdon ko halat e maut se nikalte hain, shayad ke tum is mushahide se sabaq lo