Surah Al-Muddathir Verse 31 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Muddathirوَمَا جَعَلۡنَآ أَصۡحَٰبَ ٱلنَّارِ إِلَّا مَلَـٰٓئِكَةٗۖ وَمَا جَعَلۡنَا عِدَّتَهُمۡ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيَسۡتَيۡقِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَيَزۡدَادَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِيمَٰنٗا وَلَا يَرۡتَابَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَلِيَقُولَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡكَٰفِرُونَ مَاذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۚ وَمَا يَعۡلَمُ جُنُودَ رَبِّكَ إِلَّا هُوَۚ وَمَا هِيَ إِلَّا ذِكۡرَىٰ لِلۡبَشَرِ
Humne dozakh ke yeh karkoon farishtey banaye hain,aur unki tadaad ko kafiron ke liye fitna bana diya hai, taa-ke ehle kitaab ko yaqeen aa jaye aur iman laney walon ka iman badhey,Aur ehle kitaab aur momineen kisi shakk mein na rahey,aur dil ke bimar aur kuffar yeh kahein ke bhala Allah ka is ajeeb baat se kya matlab ho sakta hai. Is tarah Allah jisey chahta hai gumraah kardeta hai aur jisey chahta hai hidayat baksh deta hai aur tere Rubb ke lashkaron (soldiers) ko khud uske siwa koi nahin janta, aur is dozak ka zikr iske siwa kisi garz ke liye nahin kiya gaya hai ke logon ko issey naseehat ho