Surah Al-Insan - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
هَلۡ أَتَىٰ عَلَى ٱلۡإِنسَٰنِ حِينٞ مِّنَ ٱلدَّهۡرِ لَمۡ يَكُن شَيۡـٔٗا مَّذۡكُورًا
Kya Insan par la mutanahi zamane ka ek waqt aisa bhi guzra hai jab woh koi qabil e zikr cheez na tha
Surah Al-Insan, Verse 1
إِنَّا خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ مِن نُّطۡفَةٍ أَمۡشَاجٖ نَّبۡتَلِيهِ فَجَعَلۡنَٰهُ سَمِيعَۢا بَصِيرًا
Humne Insan ko ek makhlut nutfey (intermingled sperm) se paida kiya taa-ke uska imtihaan lein aur is garz ke liye humne usey sunne aur dekhne wala banaya
Surah Al-Insan, Verse 2
إِنَّا هَدَيۡنَٰهُ ٱلسَّبِيلَ إِمَّا شَاكِرٗا وَإِمَّا كَفُورًا
Humne usey rasta dikha diya, khwa shukar karne wala baney ya kufr karne wala
Surah Al-Insan, Verse 3
إِنَّآ أَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ سَلَٰسِلَاْ وَأَغۡلَٰلٗا وَسَعِيرًا
Kufr karne walon ke liye humne zanjeerein aur tauq (fetters) aur bhadakti hui aag muhaiyya kar rakkhi hai
Surah Al-Insan, Verse 4
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ يَشۡرَبُونَ مِن كَأۡسٖ كَانَ مِزَاجُهَا كَافُورًا
Neik log (jannat mein) sharaab ke aisey sagar piyenge jinmein aabey kafoor ki aamezish (mixture) hogi
Surah Al-Insan, Verse 5
عَيۡنٗا يَشۡرَبُ بِهَا عِبَادُ ٱللَّهِ يُفَجِّرُونَهَا تَفۡجِيرٗا
Yeh ek behta chasma(spring) hoga jiske pani ke saath Allah ke bandey sharaab piyengey aur jahan chahengey ba-sahulat uski shakhein (nikal) lengey
Surah Al-Insan, Verse 6
يُوفُونَ بِٱلنَّذۡرِ وَيَخَافُونَ يَوۡمٗا كَانَ شَرُّهُۥ مُسۡتَطِيرٗا
Yeh woh log hongey jo (duniya mein) nazar poori karte hain, aur us din se darte hain jiski aafat har taraf phaili hui hogi
Surah Al-Insan, Verse 7
وَيُطۡعِمُونَ ٱلطَّعَامَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ مِسۡكِينٗا وَيَتِيمٗا وَأَسِيرًا
Aur Allah ki muhabbat mein miskeen aur yateem aur qaidi ko khana khilate hain
Surah Al-Insan, Verse 8
إِنَّمَا نُطۡعِمُكُمۡ لِوَجۡهِ ٱللَّهِ لَا نُرِيدُ مِنكُمۡ جَزَآءٗ وَلَا شُكُورًا
Aur unse kehte hain ke (hum tumhein sirf) Allah ki khatir khila rahey hain, hum tumse na koi badla chahte hain na shukriya
Surah Al-Insan, Verse 9
إِنَّا نَخَافُ مِن رَّبِّنَا يَوۡمًا عَبُوسٗا قَمۡطَرِيرٗا
Humey to apne Rubb se us din ke azaab ka khauf lahiq hai jo sakht museebat ka intehayi taweel din hoga
Surah Al-Insan, Verse 10
فَوَقَىٰهُمُ ٱللَّهُ شَرَّ ذَٰلِكَ ٱلۡيَوۡمِ وَلَقَّىٰهُمۡ نَضۡرَةٗ وَسُرُورٗا
Pas Allah taala unhein us din ke sharr se bacha lega aur unhein taazgi aur suroor bakshega
Surah Al-Insan, Verse 11
وَجَزَىٰهُم بِمَا صَبَرُواْ جَنَّةٗ وَحَرِيرٗا
Aur unke sabr ke badle mein unhein jannat aur reshmi libas ata karega
Surah Al-Insan, Verse 12
مُّتَّكِـِٔينَ فِيهَا عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِۖ لَا يَرَوۡنَ فِيهَا شَمۡسٗا وَلَا زَمۡهَرِيرٗا
Wahan woh unchey masnadon par takiye lagaye baithey hongey, na unhein dhoop ki garmi satayegi na jaadey ki thirr (bitter cold)
Surah Al-Insan, Verse 13
وَدَانِيَةً عَلَيۡهِمۡ ظِلَٰلُهَا وَذُلِّلَتۡ قُطُوفُهَا تَذۡلِيلٗا
Jannat ki chaaon unpar jhuki hui saaya kar rahi hogi,aur uske phal har waqt unke bas mein hongey(ke jis tarah chahey unhein todh lein)
Surah Al-Insan, Verse 14
وَيُطَافُ عَلَيۡهِم بِـَٔانِيَةٖ مِّن فِضَّةٖ وَأَكۡوَابٖ كَانَتۡ قَوَارِيرَا۠
Unke aagey chandi ke bartan aur sheshey ke pyale gardish karaye ja rahey hongey
Surah Al-Insan, Verse 15
قَوَارِيرَاْ مِن فِضَّةٖ قَدَّرُوهَا تَقۡدِيرٗا
Sheshey bhi woh jo chandi ki qisam ke hongey,aur unko (muntazmin-e-jannat nay)theek andazey ke mutabik bhara hoga
Surah Al-Insan, Verse 16
وَيُسۡقَوۡنَ فِيهَا كَأۡسٗا كَانَ مِزَاجُهَا زَنجَبِيلًا
Unko wahan aisi sharaab ke jaam pilaye jayenge jis mein soont (ginger) ki aamezish hogi
Surah Al-Insan, Verse 17
عَيۡنٗا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلۡسَبِيلٗا
Yeh jannat ka ek chasma hoga jisey salsabil kaha jata hai
Surah Al-Insan, Verse 18
۞وَيَطُوفُ عَلَيۡهِمۡ وِلۡدَٰنٞ مُّخَلَّدُونَ إِذَا رَأَيۡتَهُمۡ حَسِبۡتَهُمۡ لُؤۡلُؤٗا مَّنثُورٗا
Unki khidmat ke liye aisey ladke daudte phir rahey hongey jo hamesha ladke hi rahenge.Tum unhein dekho to samjho ke moti(pearls) hai jo bikhair diye gaye hain
Surah Al-Insan, Verse 19
وَإِذَا رَأَيۡتَ ثَمَّ رَأَيۡتَ نَعِيمٗا وَمُلۡكٗا كَبِيرًا
Wahan jidhar bhi tum nigah dalogey niyamatein hi niyamatein aur ek badi sultanat ka sar o saman tumhein nazar aayega
Surah Al-Insan, Verse 20
عَٰلِيَهُمۡ ثِيَابُ سُندُسٍ خُضۡرٞ وَإِسۡتَبۡرَقٞۖ وَحُلُّوٓاْ أَسَاوِرَ مِن فِضَّةٖ وَسَقَىٰهُمۡ رَبُّهُمۡ شَرَابٗا طَهُورًا
Unke upar bareek resham ke sabz libas aur atlas o deba ke kapde (rich brocade)hongey, unko chandi ke kangan pehnaye jayenge , aur unka Rubb unko nihayat pakeeza sharaab pilaeyga
Surah Al-Insan, Verse 21
إِنَّ هَٰذَا كَانَ لَكُمۡ جَزَآءٗ وَكَانَ سَعۡيُكُم مَّشۡكُورًا
Yeh hai tumhari jaza aur tumhari kaar-guzari qabil-e-qadr thehri hai
Surah Al-Insan, Verse 22
إِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا عَلَيۡكَ ٱلۡقُرۡءَانَ تَنزِيلٗا
Aey Nabi, humne hi tumpar yeh Quran thoda thoda karke nazil kiya hai
Surah Al-Insan, Verse 23
فَٱصۡبِرۡ لِحُكۡمِ رَبِّكَ وَلَا تُطِعۡ مِنۡهُمۡ ءَاثِمًا أَوۡ كَفُورٗا
Lihaza tum apne Rubb ke hukum par sabr karo, aur in mein se kisi badh-amal ya munkir-e-haq ki baat na maano
Surah Al-Insan, Verse 24
وَٱذۡكُرِ ٱسۡمَ رَبِّكَ بُكۡرَةٗ وَأَصِيلٗا
Apne Rubb ka naam subh-o-shaam yaad karo
Surah Al-Insan, Verse 25
وَمِنَ ٱلَّيۡلِ فَٱسۡجُدۡ لَهُۥ وَسَبِّحۡهُ لَيۡلٗا طَوِيلًا
Raat ko bhi uske huzoor sajda raiz ho, Aur raat ke taveel auqat mein uski tasbeeh karte raho
Surah Al-Insan, Verse 26
إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ يُحِبُّونَ ٱلۡعَاجِلَةَ وَيَذَرُونَ وَرَآءَهُمۡ يَوۡمٗا ثَقِيلٗا
Yeh log to jaldi hasil honay wali cheez (duniya ) se muhabbat rakhte hai aur aagey jo bhaari din aane wala hai usey nazar andaz kardetey hain
Surah Al-Insan, Verse 27
نَّحۡنُ خَلَقۡنَٰهُمۡ وَشَدَدۡنَآ أَسۡرَهُمۡۖ وَإِذَا شِئۡنَا بَدَّلۡنَآ أَمۡثَٰلَهُمۡ تَبۡدِيلًا
Humne hi inko paida kiya hai aur inke jodh bandh mazboot kiye hai, aur hum jab chahein inki shakalon ko badal kar rakh dein
Surah Al-Insan, Verse 28
إِنَّ هَٰذِهِۦ تَذۡكِرَةٞۖ فَمَن شَآءَ ٱتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِۦ سَبِيلٗا
Yeh ek nasihat hai,ab jiska jee chahey apne Rubb ki taraf jaane ka rasta ikhtiyar karle
Surah Al-Insan, Verse 29
وَمَا تَشَآءُونَ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Aur tumharey chahne se kuch nahin hota jab tak ke Allah na chachey, yaqeenan Allah bada Aleem-o-Haqeem hai
Surah Al-Insan, Verse 30
يُدۡخِلُ مَن يَشَآءُ فِي رَحۡمَتِهِۦۚ وَٱلظَّـٰلِمِينَ أَعَدَّ لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمَۢا
Apni rehmat mein jisko chahta hai daakhil karta hai, Aur zalimon ke liye usne dardnaak azaab tayyar kar rakkha hai
Surah Al-Insan, Verse 31