Surah Al-Mursalat - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلۡمُرۡسَلَٰتِ عُرۡفٗا
Kasam hai un ( hawaon) ki jo pai dar pai bheji jati hain
Surah Al-Mursalat, Verse 1
فَٱلۡعَٰصِفَٰتِ عَصۡفٗا
Phir toofani raftar se chalti hai
Surah Al-Mursalat, Verse 2
وَٱلنَّـٰشِرَٰتِ نَشۡرٗا
Aur (baadalon ko) utha kar phailati hai
Surah Al-Mursalat, Verse 3
فَٱلۡفَٰرِقَٰتِ فَرۡقٗا
Phir (unko) phaad kar juda karti hai
Surah Al-Mursalat, Verse 4
فَٱلۡمُلۡقِيَٰتِ ذِكۡرًا
Phir (dilon mei khuda ki)yaad daalti hai
Surah Al-Mursalat, Verse 5
عُذۡرًا أَوۡ نُذۡرًا
Uzar (justification) ke taur par ya daravey ke taur par
Surah Al-Mursalat, Verse 6
إِنَّمَا تُوعَدُونَ لَوَٰقِعٞ
Jis cheez ka tumse wada kiya ja raha hai woh zaroor waqey honay wali hai
Surah Al-Mursalat, Verse 7
فَإِذَا ٱلنُّجُومُ طُمِسَتۡ
Phir jab sitarey maand (extinguish) pad jayengey
Surah Al-Mursalat, Verse 8
وَإِذَا ٱلسَّمَآءُ فُرِجَتۡ
Aur aasmaan phaad diya jayega
Surah Al-Mursalat, Verse 9
وَإِذَا ٱلۡجِبَالُ نُسِفَتۡ
Aur pahad dhunak daaley jayengey (blown away)
Surah Al-Mursalat, Verse 10
وَإِذَا ٱلرُّسُلُ أُقِّتَتۡ
Aur Rasoolon ki haziri ka waqt aa pahunchega (us roz woh cheez waqey ho jaeygi)
Surah Al-Mursalat, Verse 11
لِأَيِّ يَوۡمٍ أُجِّلَتۡ
Kis roz ke liye yeh kaam utha rakha gaya hai
Surah Al-Mursalat, Verse 12
لِيَوۡمِ ٱلۡفَصۡلِ
Faisley ke roz ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 13
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلۡفَصۡلِ
Aur tumhein kya khabar ke woh faisley ka din kya hai
Surah Al-Mursalat, Verse 14
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us din jhutlane walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 15
أَلَمۡ نُهۡلِكِ ٱلۡأَوَّلِينَ
Kya humne aglon ko halaq nahin kiya
Surah Al-Mursalat, Verse 16
ثُمَّ نُتۡبِعُهُمُ ٱلۡأٓخِرِينَ
Phir unhi ke pichey hum baad walon ko chalta karengey
Surah Al-Mursalat, Verse 17
كَذَٰلِكَ نَفۡعَلُ بِٱلۡمُجۡرِمِينَ
Mujrimo ke saath hum yahi kuch kiya karte hain
Surah Al-Mursalat, Verse 18
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us din jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 19
أَلَمۡ نَخۡلُقكُّم مِّن مَّآءٖ مَّهِينٖ
Kya humne ek hakeer pani se tumhein paida nahin kiya
Surah Al-Mursalat, Verse 20
فَجَعَلۡنَٰهُ فِي قَرَارٖ مَّكِينٍ
Aur ek mukarrara muddat tak
Surah Al-Mursalat, Verse 21
إِلَىٰ قَدَرٖ مَّعۡلُومٖ
Usey ek mehfooz jagah thehraye rakkha
Surah Al-Mursalat, Verse 22
فَقَدَرۡنَا فَنِعۡمَ ٱلۡقَٰدِرُونَ
To dekho , hum ispar qadir thay, pas hum bahut acchi qudrat rakhne waley hain
Surah Al-Mursalat, Verse 23
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 24
أَلَمۡ نَجۡعَلِ ٱلۡأَرۡضَ كِفَاتًا
Kya humne zameen ko sameth kar rakhne wali nahin banaya
Surah Al-Mursalat, Verse 25
أَحۡيَآءٗ وَأَمۡوَٰتٗا
Zindon ke liye bhi aur murdon ke liye bhi
Surah Al-Mursalat, Verse 26
وَجَعَلۡنَا فِيهَا رَوَٰسِيَ شَٰمِخَٰتٖ وَأَسۡقَيۡنَٰكُم مَّآءٗ فُرَاتٗا
Aur is mein buland-o-bala pahad jamaye, Aur tumhein meetha pani pilaya
Surah Al-Mursalat, Verse 27
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 28
ٱنطَلِقُوٓاْ إِلَىٰ مَا كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
Chalo ab usi cheez ki taraf jisey tum jhutlaya karte thay
Surah Al-Mursalat, Verse 29
ٱنطَلِقُوٓاْ إِلَىٰ ظِلّٖ ذِي ثَلَٰثِ شُعَبٖ
Chalo us saaye ki taraf jo teen shaakhon(columns) wala hai
Surah Al-Mursalat, Verse 30
لَّا ظَلِيلٖ وَلَا يُغۡنِي مِنَ ٱللَّهَبِ
Na thandak pahunchane wala aur na aag ki lapat se bachane wala
Surah Al-Mursalat, Verse 31
إِنَّهَا تَرۡمِي بِشَرَرٖ كَٱلۡقَصۡرِ
woh aag mahal (castles/fortress) jaisi badi badi chingariyan phenkegi
Surah Al-Mursalat, Verse 32
كَأَنَّهُۥ جِمَٰلَتٞ صُفۡرٞ
(Jo uchalti hui yun mehsus hongi )goya ke woh zard ount (camel) hai
Surah Al-Mursalat, Verse 33
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 34
هَٰذَا يَوۡمُ لَا يَنطِقُونَ
Yeh woh din hai jismein wo na kuch bolengey
Surah Al-Mursalat, Verse 35
وَلَا يُؤۡذَنُ لَهُمۡ فَيَعۡتَذِرُونَ
Aur na unhein mauka diya jaeyga ke koi uzr(excuse) pesh karein
Surah Al-Mursalat, Verse 36
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us din jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 37
هَٰذَا يَوۡمُ ٱلۡفَصۡلِۖ جَمَعۡنَٰكُمۡ وَٱلۡأَوَّلِينَ
Yeh faisley ka din hai humne tumhein aur tumse pehle guzrey huey logon ko jamaa kardiya hai
Surah Al-Mursalat, Verse 38
فَإِن كَانَ لَكُمۡ كَيۡدٞ فَكِيدُونِ
Ab agar koi chaal tum chal sakte ho to mere muqabley mein chal dekho
Surah Al-Mursalat, Verse 39
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us din jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 40
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي ظِلَٰلٖ وَعُيُونٖ
Muttaqi log aaj saayon aur chashmon mein hai
Surah Al-Mursalat, Verse 41
وَفَوَٰكِهَ مِمَّا يَشۡتَهُونَ
Aur jo phal woh chahein (unke liye hazir hai)
Surah Al-Mursalat, Verse 42
كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ هَنِيٓـَٔۢا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Khao aur piyo mazey se apne un aamal ke siley mein jo tum karte rahey ho
Surah Al-Mursalat, Verse 43
إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Hum neik logon ko aisi hi jaza detay hain
Surah Al-Mursalat, Verse 44
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 45
كُلُواْ وَتَمَتَّعُواْ قَلِيلًا إِنَّكُم مُّجۡرِمُونَ
Kha lo aur mazey karlo thodey din, haqeeqat mein tum log mujrim ho
Surah Al-Mursalat, Verse 46
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 47
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱرۡكَعُواْ لَا يَرۡكَعُونَ
Jab inse kaha jata hai ke (Allah ke aagey) jhuko to nahin jhuktey
Surah Al-Mursalat, Verse 48
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai uss roz jhutlaney walon ke liye
Surah Al-Mursalat, Verse 49
فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَهُۥ يُؤۡمِنُونَ
Ab is (Quran) ke baad aur kaunsa kalaam aisa ho sakta hai jispar yeh iman layein
Surah Al-Mursalat, Verse 50