Surah Al-Fajr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلۡفَجۡرِ
Kasam hai fajr ki
Surah Al-Fajr, Verse 1
وَلَيَالٍ عَشۡرٖ
Aur dus raaton ki
Surah Al-Fajr, Verse 2
وَٱلشَّفۡعِ وَٱلۡوَتۡرِ
Aur jufft(even) aur taaq(odd) ki
Surah Al-Fajr, Verse 3
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَسۡرِ
Aur Raat ki jabke woh ruksat ho rahi ho
Surah Al-Fajr, Verse 4
هَلۡ فِي ذَٰلِكَ قَسَمٞ لِّذِي حِجۡرٍ
kya ismein kisi sahib-e-aqal ke liye koi kasam hai
Surah Al-Fajr, Verse 5
أَلَمۡ تَرَ كَيۡفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِعَادٍ
Tumne dekha nahin ke tumhare Rubb ne kya bartao kiya
Surah Al-Fajr, Verse 6
إِرَمَ ذَاتِ ٱلۡعِمَادِ
Unchey sutuno waley Aad-e-iram kay saath
Surah Al-Fajr, Verse 7
ٱلَّتِي لَمۡ يُخۡلَقۡ مِثۡلُهَا فِي ٱلۡبِلَٰدِ
Jinke manind koi qaum duniya kay mulkon mein paida nahin ki gayi thi
Surah Al-Fajr, Verse 8
وَثَمُودَ ٱلَّذِينَ جَابُواْ ٱلصَّخۡرَ بِٱلۡوَادِ
Aur Samood ke saath jinhon ne wadi mei chattane tarashi thi
Surah Al-Fajr, Verse 9
وَفِرۡعَوۡنَ ذِي ٱلۡأَوۡتَادِ
Aur mekhon waley Firoun kay saath
Surah Al-Fajr, Verse 10
ٱلَّذِينَ طَغَوۡاْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ
Yeh woh log (thay) jinhone duniya kay mulkon mein badi sarkashi ki thi
Surah Al-Fajr, Verse 11
فَأَكۡثَرُواْ فِيهَا ٱلۡفَسَادَ
Aur inmein bahut fasaad failaya tha
Surah Al-Fajr, Verse 12
فَصَبَّ عَلَيۡهِمۡ رَبُّكَ سَوۡطَ عَذَابٍ
Aakhir-e-kaar tumhare Rubb ne inpar azaab ka koda barsa diya
Surah Al-Fajr, Verse 13
إِنَّ رَبَّكَ لَبِٱلۡمِرۡصَادِ
Haqeeqat yeh hai kay tumhara Rubb ghaath(watchful) lagaye huey hai
Surah Al-Fajr, Verse 14
فَأَمَّا ٱلۡإِنسَٰنُ إِذَا مَا ٱبۡتَلَىٰهُ رَبُّهُۥ فَأَكۡرَمَهُۥ وَنَعَّمَهُۥ فَيَقُولُ رَبِّيٓ أَكۡرَمَنِ
Magar Insan ka haal yeh hai kay uska Rubb jab usko aazmaish mein daalta hai aur usey izzat aur niyamat deta hai to woh kehta hai kay mere Rubb ne mujhey izzatdar bana diya
Surah Al-Fajr, Verse 15
وَأَمَّآ إِذَا مَا ٱبۡتَلَىٰهُ فَقَدَرَ عَلَيۡهِ رِزۡقَهُۥ فَيَقُولُ رَبِّيٓ أَهَٰنَنِ
Aur jab woh usko azmaish mein daalta hai aur uska rizq uspar tangg kar deta hai to woh kehta hai mere Rubb ne mujhey zaleel kar diya
Surah Al-Fajr, Verse 16
كَلَّاۖ بَل لَّا تُكۡرِمُونَ ٱلۡيَتِيمَ
Hargiz nahin, balke tum yateem se izzat ka sulook nahin kartey
Surah Al-Fajr, Verse 17
وَلَا تَحَـٰٓضُّونَ عَلَىٰ طَعَامِ ٱلۡمِسۡكِينِ
Aur miskeen ko khana khilane par ek dusrey ko nahin uksatey
Surah Al-Fajr, Verse 18
وَتَأۡكُلُونَ ٱلتُّرَاثَ أَكۡلٗا لَّمّٗا
Aur Miras(inheritance) ka sara maal sameith kar kha jatey ho
Surah Al-Fajr, Verse 19
وَتُحِبُّونَ ٱلۡمَالَ حُبّٗا جَمّٗا
Aur maal ki muhabbat mei buri tarah giraftar ho
Surah Al-Fajr, Verse 20
كَلَّآۖ إِذَا دُكَّتِ ٱلۡأَرۡضُ دَكّٗا دَكّٗا
Hargiz nahin jab zameen pai dar pai qoot qoot kar regzaar bana di jayegi
Surah Al-Fajr, Verse 21
وَجَآءَ رَبُّكَ وَٱلۡمَلَكُ صَفّٗا صَفّٗا
Aur tumahra Rubb jalwa farma hoga is haal mei kay farishtey saff dar saff khade hongey
Surah Al-Fajr, Verse 22
وَجِاْيٓءَ يَوۡمَئِذِۭ بِجَهَنَّمَۚ يَوۡمَئِذٖ يَتَذَكَّرُ ٱلۡإِنسَٰنُ وَأَنَّىٰ لَهُ ٱلذِّكۡرَىٰ
Aur jahannum us roz samnay le aayi jaeygi, us din Insan ko samajh ayegi aur us waqt us ke samajhne ka kya hasil
Surah Al-Fajr, Verse 23
يَقُولُ يَٰلَيۡتَنِي قَدَّمۡتُ لِحَيَاتِي
Woh kahega ke kaash maine apni is zindagi ke liye kuch peshgi saman kiya hota
Surah Al-Fajr, Verse 24
فَيَوۡمَئِذٖ لَّا يُعَذِّبُ عَذَابَهُۥٓ أَحَدٞ
Phir us din Allah jo azaab dega waisa azaab dene wala koi nahin
Surah Al-Fajr, Verse 25
وَلَا يُوثِقُ وَثَاقَهُۥٓ أَحَدٞ
Aur Allah jaisa bandhega waisa bandhne wala koi nahin
Surah Al-Fajr, Verse 26
يَـٰٓأَيَّتُهَا ٱلنَّفۡسُ ٱلۡمُطۡمَئِنَّةُ
(Dusri taraf irshad hoga) Aey nafsey mutmain(reassured soul/pious)
Surah Al-Fajr, Verse 27
ٱرۡجِعِيٓ إِلَىٰ رَبِّكِ رَاضِيَةٗ مَّرۡضِيَّةٗ
Chal apne Rubb ki taraf is haal mein ke tu (apne anjam-e-neik se) khush (Aur apne Rubb kay nazdeek) pasandida hai
Surah Al-Fajr, Verse 28
فَٱدۡخُلِي فِي عِبَٰدِي
Shamil ho ja mere (neik) bandon mein
Surah Al-Fajr, Verse 29
وَٱدۡخُلِي جَنَّتِي
Aur dakhil hoja meri jannat mein
Surah Al-Fajr, Verse 30