Surah Al-Balad - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
لَآ أُقۡسِمُ بِهَٰذَا ٱلۡبَلَدِ
Nahin mai kasam khata hoon is shehar(city) ki
Surah Al-Balad, Verse 1
وَأَنتَ حِلُّۢ بِهَٰذَا ٱلۡبَلَدِ
Aur haal yeh hai ke (Aey nabi) is shehar mein tumko halal kar liya gaya hai
Surah Al-Balad, Verse 2
وَوَالِدٖ وَمَا وَلَدَ
Aur kasam khata hoon baap(Adam) ki aur us aulad ki jo ussey paida hui
Surah Al-Balad, Verse 3
لَقَدۡ خَلَقۡنَا ٱلۡإِنسَٰنَ فِي كَبَدٍ
Dar haqeeqat humne Insan ko mushakkat mein paida kiya hai
Surah Al-Balad, Verse 4
أَيَحۡسَبُ أَن لَّن يَقۡدِرَ عَلَيۡهِ أَحَدٞ
Kya usne yeh samajh rakhha hai kay uspar koi qaabu na paa sakega
Surah Al-Balad, Verse 5
يَقُولُ أَهۡلَكۡتُ مَالٗا لُّبَدًا
Kehta hai ke maine dhairon maal udaa diya
Surah Al-Balad, Verse 6
أَيَحۡسَبُ أَن لَّمۡ يَرَهُۥٓ أَحَدٌ
Kya woh samajhta hai kay kisi ne usko nahin dekha
Surah Al-Balad, Verse 7
أَلَمۡ نَجۡعَل لَّهُۥ عَيۡنَيۡنِ
Kya humne usey do aankhein
Surah Al-Balad, Verse 8
وَلِسَانٗا وَشَفَتَيۡنِ
Aur ek zubaan aur do honth nahin diye
Surah Al-Balad, Verse 9
وَهَدَيۡنَٰهُ ٱلنَّجۡدَيۡنِ
Aur dono numayan raste usey (nahin) dikha diye
Surah Al-Balad, Verse 10
فَلَا ٱقۡتَحَمَ ٱلۡعَقَبَةَ
Magar usne dushwar guzar ghati(steep) se guzarne ki himmat na ki
Surah Al-Balad, Verse 11
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلۡعَقَبَةُ
Aur tum kya jaano kay kya hai woh dushwar guzar ghaati
Surah Al-Balad, Verse 12
فَكُّ رَقَبَةٍ
Kisi gardan ko gulami se chudana
Surah Al-Balad, Verse 13
أَوۡ إِطۡعَٰمٞ فِي يَوۡمٖ ذِي مَسۡغَبَةٖ
Ya faake ke din
Surah Al-Balad, Verse 14
يَتِيمٗا ذَا مَقۡرَبَةٍ
kisi qareebi yateem
Surah Al-Balad, Verse 15
أَوۡ مِسۡكِينٗا ذَا مَتۡرَبَةٖ
Ya khaak nasheen miskeen ko khana khilana
Surah Al-Balad, Verse 16
ثُمَّ كَانَ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡمَرۡحَمَةِ
Phir (iske saath yeh kay) aadmi un logon mein shamil ho jo imaan laye aur jinhon ne ek dusrey ko sabr aur (khalq-e-khuda par) raham ki talqeen ki
Surah Al-Balad, Verse 17
أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ
Yeh log hain dayein baazu(right hand) waley
Surah Al-Balad, Verse 18
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا هُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ
Aur jinhon ne hamari aayat ko mann-ney se inkar kiya woh bayen bazu(left hand) waley hain
Surah Al-Balad, Verse 19
عَلَيۡهِمۡ نَارٞ مُّؤۡصَدَةُۢ
Un par aag chaayi hui hogi
Surah Al-Balad, Verse 20