Surah Ash-Shams - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلشَّمۡسِ وَضُحَىٰهَا
Suraj aur uski dhoop ki kasam
Surah Ash-Shams, Verse 1
وَٱلۡقَمَرِ إِذَا تَلَىٰهَا
Aur Chand ki kasam jabke wo uske pichey aata hai
Surah Ash-Shams, Verse 2
وَٱلنَّهَارِ إِذَا جَلَّىٰهَا
Aur din ki kasam jabke woh (Suraj ko) numaya kar deta hai
Surah Ash-Shams, Verse 3
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰهَا
Aur raat ki kasam jabke woh (suraj ko) dhank leti hai
Surah Ash-Shams, Verse 4
وَٱلسَّمَآءِ وَمَا بَنَىٰهَا
Aur aasman ki aur us zaat ki kasam jisne usey qayam kiya
Surah Ash-Shams, Verse 5
وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا طَحَىٰهَا
Aur zameen ki aur us zaat ki kasam jisne usey bichaya
Surah Ash-Shams, Verse 6
وَنَفۡسٖ وَمَا سَوَّىٰهَا
Aur nafs-e-Insani ki aur us zaat ki kasam jisne usey hamwar kiya
Surah Ash-Shams, Verse 7
فَأَلۡهَمَهَا فُجُورَهَا وَتَقۡوَىٰهَا
Phir uski badi aur uski parhezgari uss par ilham kar di
Surah Ash-Shams, Verse 8
قَدۡ أَفۡلَحَ مَن زَكَّىٰهَا
Yaqeenan falah pa gaya woh jisne nafs ka tazkiya kiya
Surah Ash-Shams, Verse 9
وَقَدۡ خَابَ مَن دَسَّىٰهَا
Aur na-murad hua woh jisne usko daba diya
Surah Ash-Shams, Verse 10
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ بِطَغۡوَىٰهَآ
Samood ne apni sarkashi ki bina par jhutlaya
Surah Ash-Shams, Verse 11
إِذِ ٱنۢبَعَثَ أَشۡقَىٰهَا
Jab us qaum ka sab se zyada shaqi (Badnaseeb) aadmi biphar kar utha
Surah Ash-Shams, Verse 12
فَقَالَ لَهُمۡ رَسُولُ ٱللَّهِ نَاقَةَ ٱللَّهِ وَسُقۡيَٰهَا
To Allah ke Rasool ne un logon se kaha ke khabardar Allah ki ountni (she-camel) ko (haath na lagana) aur uske paani peene (mein maane na hona)
Surah Ash-Shams, Verse 13
فَكَذَّبُوهُ فَعَقَرُوهَا فَدَمۡدَمَ عَلَيۡهِمۡ رَبُّهُم بِذَنۢبِهِمۡ فَسَوَّىٰهَا
Magar unhon ne uski baat ko jhuta qarar diya aur ountni ko maar dala. Aakhir-e-kaar unke gunah ke padash mein unke Rubb ne unpar aisi aafat toodi ke ek saath sab ko paywand-e-khaaq kar diya
Surah Ash-Shams, Verse 14
وَلَا يَخَافُ عُقۡبَٰهَا
Aur usey (apne is fail kay) kisi burey natije ka koi khauf(darr) nahin hai
Surah Ash-Shams, Verse 15