Surah Al-Lail - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰ
Kasam hai raat ki jabke woh chaa jaaye
Surah Al-Lail, Verse 1
وَٱلنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّىٰ
Aur din ki jabke woh roshan ho
Surah Al-Lail, Verse 2
وَمَا خَلَقَ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰٓ
Aur us zaat ki jisne nar(male) aur maada(female) ko paida kiya
Surah Al-Lail, Verse 3
إِنَّ سَعۡيَكُمۡ لَشَتَّىٰ
Dar haqeeqat tum logon ki koshishein mukhtalif qism ki hai
Surah Al-Lail, Verse 4
فَأَمَّا مَنۡ أَعۡطَىٰ وَٱتَّقَىٰ
To jisne (rah e khuda mein) maal diya aur (khuda ki nafarmani se) parhez kiya
Surah Al-Lail, Verse 5
وَصَدَّقَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
Aur bhalayi ko sach mana
Surah Al-Lail, Verse 6
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡيُسۡرَىٰ
Usko hum aasan raastey kay liye sahulat denge
Surah Al-Lail, Verse 7
وَأَمَّا مَنۢ بَخِلَ وَٱسۡتَغۡنَىٰ
Aur jisne bukhl(kanjoosi) kiya aur (apney khuda se) be niyazi(self-sufficient/independent) barti
Surah Al-Lail, Verse 8
وَكَذَّبَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
aur bhalayi ko jhutlaya
Surah Al-Lail, Verse 9
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡعُسۡرَىٰ
Usko hum sakht rastey kay liye sahulat dengey
Surah Al-Lail, Verse 10
وَمَا يُغۡنِي عَنۡهُ مَالُهُۥٓ إِذَا تَرَدَّىٰٓ
Aur uska maal aakhir uske kis kaam aayega jabke woh halaq ho jaye
Surah Al-Lail, Verse 11
إِنَّ عَلَيۡنَا لَلۡهُدَىٰ
Beshak rasta batana hamare zimmey hai
Surah Al-Lail, Verse 12
وَإِنَّ لَنَا لَلۡأٓخِرَةَ وَٱلۡأُولَىٰ
aur dar haqeeqat aakhirat aur duniya dono kay hum hi malik hai
Surah Al-Lail, Verse 13
فَأَنذَرۡتُكُمۡ نَارٗا تَلَظَّىٰ
Pas maine tumko khabardar kar diya hai bhadakti hui aag se
Surah Al-Lail, Verse 14
لَا يَصۡلَىٰهَآ إِلَّا ٱلۡأَشۡقَى
Usmein nahin jhulsega magar woh intihayi badbakth
Surah Al-Lail, Verse 15
ٱلَّذِي كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ
jisne jhutlaya aur mooh phera
Surah Al-Lail, Verse 16
وَسَيُجَنَّبُهَا ٱلۡأَتۡقَى
Aur usse door rakkha jayega woh nihayat parhezgaar
Surah Al-Lail, Verse 17
ٱلَّذِي يُؤۡتِي مَالَهُۥ يَتَزَكَّىٰ
Jo paakiza honay ki khatir apna maal deta hai
Surah Al-Lail, Verse 18
وَمَا لِأَحَدٍ عِندَهُۥ مِن نِّعۡمَةٖ تُجۡزَىٰٓ
Uspar kisi ka koi ehsan nahin hai jiska badla usey dena ho
Surah Al-Lail, Verse 19
إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِ ٱلۡأَعۡلَىٰ
Woh to sirf apne Rubb-e-bartrar ki raza joii ke liye yeh kaam karta hai
Surah Al-Lail, Verse 20
وَلَسَوۡفَ يَرۡضَىٰ
Aur zaroor woh (us se) khush hoga
Surah Al-Lail, Verse 21