Surah Al-Lail - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰ
Qasam hai raat ki jab cha jaey
Surah Al-Lail, Verse 1
وَٱلنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّىٰ
Aur qasam hai din ki jab roshan ho
Surah Al-Lail, Verse 2
وَمَا خَلَقَ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰٓ
Aur qasam hai uss zaat ki jiss nay nar-o-mada ko peda kiya
Surah Al-Lail, Verse 3
إِنَّ سَعۡيَكُمۡ لَشَتَّىٰ
Yaqeenan tumhari koshish mukhtalif qisim ki hai
Surah Al-Lail, Verse 4
فَأَمَّا مَنۡ أَعۡطَىٰ وَٱتَّقَىٰ
Jiss nay diya (Allah ki rah mein)aur dara (apnay rab say)
Surah Al-Lail, Verse 5
وَصَدَّقَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
Aur nek baat ki tasdeq kerta rahega
Surah Al-Lail, Verse 6
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡيُسۡرَىٰ
To hum bhi usko aasan rasty ki saholat dein gay
Surah Al-Lail, Verse 7
وَأَمَّا مَنۢ بَخِلَ وَٱسۡتَغۡنَىٰ
Lekin jiss nay bakheel ki aur beparwai barti
Surah Al-Lail, Verse 8
وَكَذَّبَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
Aur nek baat ki takzeeb ki
Surah Al-Lail, Verse 9
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡعُسۡرَىٰ
To hum bhi uski tangi-o-mushkil kay saman mayuser kerdein gay
Surah Al-Lail, Verse 10
وَمَا يُغۡنِي عَنۡهُ مَالُهُۥٓ إِذَا تَرَدَّىٰٓ
Uska maal ussy(ondha)giraney kay waqat kuch kam na ay ga
Surah Al-Lail, Verse 11
إِنَّ عَلَيۡنَا لَلۡهُدَىٰ
Be-shak raah dikha dena himaray zimmay hai
Surah Al-Lail, Verse 12
وَإِنَّ لَنَا لَلۡأٓخِرَةَ وَٱلۡأُولَىٰ
Aur humary hi hath akhrat aurduniya hai
Surah Al-Lail, Verse 13
فَأَنذَرۡتُكُمۡ نَارٗا تَلَظَّىٰ
Mein nay to tumhein sholay marti hui aag say dara diya hai
Surah Al-Lail, Verse 14
لَا يَصۡلَىٰهَآ إِلَّا ٱلۡأَشۡقَى
Jiss mein sirf wo hi badbakht dakhil hoga
Surah Al-Lail, Verse 15
ٱلَّذِي كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ
Jiss nay jhutlaya aur(uski perwi say)mun pher liya
Surah Al-Lail, Verse 16
وَسَيُجَنَّبُهَا ٱلۡأَتۡقَى
Aur iss say assa shaks dor rakha jaey ga jo bara perhezgar hoga
Surah Al-Lail, Verse 17
ٱلَّذِي يُؤۡتِي مَالَهُۥ يَتَزَكَّىٰ
Jo paaki hasil kernay kay liey apna maal deta hai
Surah Al-Lail, Verse 18
وَمَا لِأَحَدٍ عِندَهُۥ مِن نِّعۡمَةٖ تُجۡزَىٰٓ
Kissi ka uss per koi ehsan nahi kay jiss ka badla diya jaraha ho
Surah Al-Lail, Verse 19
إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِ ٱلۡأَعۡلَىٰ
bulkay sirf apnay perwardigar buzruk-o-buland ki raza chahnay kay liey
Surah Al-Lail, Verse 20
وَلَسَوۡفَ يَرۡضَىٰ
Yaqeenan wo (Allah bhi) un qareeb raza mand hojaeyga
Surah Al-Lail, Verse 21