Surah Al-Lail - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
وَٱلَّيۡلِ إِذَا يَغۡشَىٰ
qasam hai raath ki jab chaa jaaye
Surah Al-Lail, Verse 1
وَٱلنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّىٰ
aur qasam hai din ki jab roushan ho
Surah Al-Lail, Verse 2
وَمَا خَلَقَ ٱلذَّكَرَ وَٱلۡأُنثَىٰٓ
aur qasam hai us zaath ki jis ne nar wa maada ko paida kiya
Surah Al-Lail, Verse 3
إِنَّ سَعۡيَكُمۡ لَشَتَّىٰ
yaqinan tumhaari koshish muqtalif qism ki hai
Surah Al-Lail, Verse 4
فَأَمَّا مَنۡ أَعۡطَىٰ وَٱتَّقَىٰ
jis ne diya (Allah ki raah mein) aur dara (apne rab se)
Surah Al-Lail, Verse 5
وَصَدَّقَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
aur nek baath ki tasdeeq karta rahega
Surah Al-Lail, Verse 6
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡيُسۡرَىٰ
to hum bhi us ko asaan raaste ki sahulath denge
Surah Al-Lail, Verse 7
وَأَمَّا مَنۢ بَخِلَ وَٱسۡتَغۡنَىٰ
lekin jis ne baqili ki aur be parvaahi barti
Surah Al-Lail, Verse 8
وَكَذَّبَ بِٱلۡحُسۡنَىٰ
aur nek baath ki takzeeb ki
Surah Al-Lail, Verse 9
فَسَنُيَسِّرُهُۥ لِلۡعُسۡرَىٰ
to hum bhi us ki tangi aur mushkil ke samaan mayassar kar denge
Surah Al-Lail, Verse 10
وَمَا يُغۡنِي عَنۡهُ مَالُهُۥٓ إِذَا تَرَدَّىٰٓ
us ka maal ose (aundha) girne ke waqth kuch kaam na ayega
Surah Al-Lail, Verse 11
إِنَّ عَلَيۡنَا لَلۡهُدَىٰ
beshak raah dikha dena, hamaare zimme hai
Surah Al-Lail, Verse 12
وَإِنَّ لَنَا لَلۡأٓخِرَةَ وَٱلۡأُولَىٰ
aur hamaare hee haath aaqirath aur dunya hai
Surah Al-Lail, Verse 13
فَأَنذَرۡتُكُمۡ نَارٗا تَلَظَّىٰ
main ne tumhe shole maarti hoyi aag se dara diya hai
Surah Al-Lail, Verse 14
لَا يَصۡلَىٰهَآ إِلَّا ٱلۡأَشۡقَى
jis mein sirf wahi badh baqth daakhil hoga
Surah Al-Lail, Verse 15
ٱلَّذِي كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ
jis ne jhutlaaya aur (us ki pairvi se) mu pher liya
Surah Al-Lail, Verse 16
وَسَيُجَنَّبُهَا ٱلۡأَتۡقَى
aur us se aisa shaqs door rakha jayega, jo bada parhezgaar hoga
Surah Al-Lail, Verse 17
ٱلَّذِي يُؤۡتِي مَالَهُۥ يَتَزَكَّىٰ
jo paaki haasil karne ke liye apna maal deta hai
Surah Al-Lail, Verse 18
وَمَا لِأَحَدٍ عِندَهُۥ مِن نِّعۡمَةٖ تُجۡزَىٰٓ
kisi ka us par koyi ehsaan nahi, ke jis ka badhla diya ja raha ho
Surah Al-Lail, Verse 19
إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ رَبِّهِ ٱلۡأَعۡلَىٰ
balke sirf apne parvardigaar buzrug wa bulandh ki raza chaahne ke liye
Surah Al-Lail, Verse 20
وَلَسَوۡفَ يَرۡضَىٰ
yaqinan wo (Allah) bhi, an-qareeb raza mandh ho jayega
Surah Al-Lail, Verse 21