Surah Al-Asr - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
وَٱلۡعَصۡرِ
Zamaney ki qasam
Surah Al-Asr, Verse 1
إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَفِي خُسۡرٍ
Beyshak (bil-yaqeen)insane sir ta sir nuqsan mein hay
Surah Al-Asr, Verse 2
إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡحَقِّ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ
Siwaey un logon kay jo eman laey aur nek amal kiey aur(jinhon nay)apas mein haq ki waseeyat ki aur aik doosry ko sabar ki naseehat ki
Surah Al-Asr, Verse 3