Surah Al-Asr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلۡعَصۡرِ
Zamane ki qasam
Surah Al-Asr, Verse 1
إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَفِي خُسۡرٍ
Insan dar haqeeqat badey khasarey(nuksaan) mein hai
Surah Al-Asr, Verse 2
إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡحَقِّ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ
Siwaye un logon ke jo iman laye aur neik aamal karte rahe aur ek dusrey ko haqq ki nasihat aur sabr ki talqeen karte rahe
Surah Al-Asr, Verse 3