Surah Al-Asr - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
وَٱلۡعَصۡرِ
zamaane ki qasam
Surah Al-Asr, Verse 1
إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَفِي خُسۡرٍ
beshak (bil yaqeen) insaan sar ta sar nuqsaan mein hai
Surah Al-Asr, Verse 2
إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡحَقِّ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ
sivaaye un logo ke, jo imaan laaye aur nek amal kiye aur (jinhone) aapas mein haq ki wasiyath ki aur ek dosre ko sabr ki nasihath ki
Surah Al-Asr, Verse 3