Surah At-Tariq - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
وَٱلسَّمَآءِ وَٱلطَّارِقِ
qasam hai asmaan ki aur andhere mein roushan hone waale ki
Surah At-Tariq, Verse 1
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا ٱلطَّارِقُ
tujhe maloom bhi hai ke wo raath ko namodaar hone waali cheez kya hai
Surah At-Tariq, Verse 2
ٱلنَّجۡمُ ٱلثَّاقِبُ
wo roushan sitaara hai
Surah At-Tariq, Verse 3
إِن كُلُّ نَفۡسٖ لَّمَّا عَلَيۡهَا حَافِظٞ
koyi aisa nahi, jis par nigehbaan farishta na ho
Surah At-Tariq, Verse 4
فَلۡيَنظُرِ ٱلۡإِنسَٰنُ مِمَّ خُلِقَ
insaan ko dekhna chahiye ke wo kis cheez se paida kiya gaya hai
Surah At-Tariq, Verse 5
خُلِقَ مِن مَّآءٖ دَافِقٖ
wo ek uchalte paani se paida kiya gaya hai
Surah At-Tariq, Verse 6
يَخۡرُجُ مِنۢ بَيۡنِ ٱلصُّلۡبِ وَٱلتَّرَآئِبِ
jo peet aur sine ke darmiyaan se nikalta hai
Surah At-Tariq, Verse 7
إِنَّهُۥ عَلَىٰ رَجۡعِهِۦ لَقَادِرٞ
beshak wo ise pher laane par yaqinan khudrath rakhne waala hai
Surah At-Tariq, Verse 8
يَوۡمَ تُبۡلَى ٱلسَّرَآئِرُ
jis din poshida bhedho ki jaanch padtaal hogi
Surah At-Tariq, Verse 9
فَمَا لَهُۥ مِن قُوَّةٖ وَلَا نَاصِرٖ
to na hoga us ke paas kuch zoor na madadgaar
Surah At-Tariq, Verse 10
وَٱلسَّمَآءِ ذَاتِ ٱلرَّجۡعِ
baarish waale asmaan ki qasam
Surah At-Tariq, Verse 11
وَٱلۡأَرۡضِ ذَاتِ ٱلصَّدۡعِ
aur phatne waale zameen ki qasam
Surah At-Tariq, Verse 12
إِنَّهُۥ لَقَوۡلٞ فَصۡلٞ
beshak ye (Qur’aan) albatta do tok faisla karne waala kalaam hai
Surah At-Tariq, Verse 13
وَمَا هُوَ بِٱلۡهَزۡلِ
ye hasi ki (aur be fayeda) baath nahi
Surah At-Tariq, Verse 14
إِنَّهُمۡ يَكِيدُونَ كَيۡدٗا
albatta kaafir daao ghaath mein hai
Surah At-Tariq, Verse 15
وَأَكِيدُ كَيۡدٗا
aur main bhi ek chaal chal raha hoon
Surah At-Tariq, Verse 16
فَمَهِّلِ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَمۡهِلۡهُمۡ رُوَيۡدَۢا
tu kaafiro ko muhallath de, inhe thode dino chohd de
Surah At-Tariq, Verse 17