Surah Al-Waqia - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
إِذَا وَقَعَتِ ٱلۡوَاقِعَةُ
jab qayaamath qaayam ho jayegi
Surah Al-Waqia, Verse 1
لَيۡسَ لِوَقۡعَتِهَا كَاذِبَةٌ
jis ke waaqe hone mein koyi jhoot nahi
Surah Al-Waqia, Verse 2
خَافِضَةٞ رَّافِعَةٌ
wo pasth karne waali aur bulandh karne waali hogi
Surah Al-Waqia, Verse 3
إِذَا رُجَّتِ ٱلۡأَرۡضُ رَجّٗا
jab ke zameen zal zale ke saath hila di jayegi
Surah Al-Waqia, Verse 4
وَبُسَّتِ ٱلۡجِبَالُ بَسّٗا
aur pahaad bilkul reza reza kar diye jayenge
Surah Al-Waqia, Verse 5
فَكَانَتۡ هَبَآءٗ مُّنۢبَثّٗا
phir wo misl para-gandha ghubaar ke ho jayenge
Surah Al-Waqia, Verse 6
وَكُنتُمۡ أَزۡوَٰجٗا ثَلَٰثَةٗ
aur tum teen jamaato mein ho jaoge
Surah Al-Waqia, Verse 7
فَأَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَيۡمَنَةِ
pas daahne haath waale kaise acche hai, daahne haath waale
Surah Al-Waqia, Verse 8
وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡمَشۡـَٔمَةِ
aur baay haath waale kya haal, baay haath waalo ka
Surah Al-Waqia, Verse 9
وَٱلسَّـٰبِقُونَ ٱلسَّـٰبِقُونَ
aur jo aage waale hai, wo to aage waale hee hai
Surah Al-Waqia, Verse 10
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلۡمُقَرَّبُونَ
wo bilkul nazdiki haasil kiye hoye hai
Surah Al-Waqia, Verse 11
فِي جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
nemato waali jannato mein hai
Surah Al-Waqia, Verse 12
ثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأَوَّلِينَ
(bahuth bada) gruh agle logo mein se hoga
Surah Al-Waqia, Verse 13
وَقَلِيلٞ مِّنَ ٱلۡأٓخِرِينَ
aur thode se pichle logo mein se
Surah Al-Waqia, Verse 14
عَلَىٰ سُرُرٖ مَّوۡضُونَةٖ
ye log sone ke taaro se bane hoye taqto par
Surah Al-Waqia, Verse 15
مُّتَّكِـِٔينَ عَلَيۡهَا مُتَقَٰبِلِينَ
ek dosre ke saamne takya lagaaye baithe honge
Surah Al-Waqia, Verse 16
يَطُوفُ عَلَيۡهِمۡ وِلۡدَٰنٞ مُّخَلَّدُونَ
un ke paas aise ladke jo hamesha (ladke hee) rahenge, aamadh wa raft karenge
Surah Al-Waqia, Verse 17
بِأَكۡوَابٖ وَأَبَارِيقَ وَكَأۡسٖ مِّن مَّعِينٖ
aab qoore aur jag le kar aur aisa jaam le kar jo behti hoyi sharaab se por ho
Surah Al-Waqia, Verse 18
لَّا يُصَدَّعُونَ عَنۡهَا وَلَا يُنزِفُونَ
jis se na sar mein dard ho, na aql mein futoor aaye
Surah Al-Waqia, Verse 19
وَفَٰكِهَةٖ مِّمَّا يَتَخَيَّرُونَ
aur aise mewe liye hoye, jo un ki pasandh ke ho
Surah Al-Waqia, Verse 20
وَلَحۡمِ طَيۡرٖ مِّمَّا يَشۡتَهُونَ
aur parindo ke gosht jo unhe marghoob ho
Surah Al-Waqia, Verse 21
وَحُورٌ عِينٞ
aur badi badi aankho waali hore
Surah Al-Waqia, Verse 22
كَأَمۡثَٰلِ ٱللُّؤۡلُوِٕ ٱلۡمَكۡنُونِ
jo chupe hoye motiyo ki tarah hai
Surah Al-Waqia, Verse 23
جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
ye sila hai un ke amaal ka
Surah Al-Waqia, Verse 24
لَا يَسۡمَعُونَ فِيهَا لَغۡوٗا وَلَا تَأۡثِيمًا
na wahaa bakwaas sunenge, aur na gunaah ki baath
Surah Al-Waqia, Verse 25
إِلَّا قِيلٗا سَلَٰمٗا سَلَٰمٗا
sirf salaam hee salaam ki awaaz hogi
Surah Al-Waqia, Verse 26
وَأَصۡحَٰبُ ٱلۡيَمِينِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلۡيَمِينِ
aur daahne haath waale kya hee acche hai, daahne haath waale
Surah Al-Waqia, Verse 27
فِي سِدۡرٖ مَّخۡضُودٖ
wo baghair kaanto ki beriyo
Surah Al-Waqia, Verse 28
وَطَلۡحٖ مَّنضُودٖ
aur tay ba tay kelo
Surah Al-Waqia, Verse 29
وَظِلّٖ مَّمۡدُودٖ
aur lambe lambe saayo
Surah Al-Waqia, Verse 30
وَمَآءٖ مَّسۡكُوبٖ
aur behte hoye paaniyo
Surah Al-Waqia, Verse 31
وَفَٰكِهَةٖ كَثِيرَةٖ
aur ba kasrath phalo mein
Surah Al-Waqia, Verse 32
لَّا مَقۡطُوعَةٖ وَلَا مَمۡنُوعَةٖ
jo na qatam ho, na rok liye jaaye
Surah Al-Waqia, Verse 33
وَفُرُشٖ مَّرۡفُوعَةٍ
aur oonche oonche farsho par honge
Surah Al-Waqia, Verse 34
إِنَّآ أَنشَأۡنَٰهُنَّ إِنشَآءٗ
hum ne un (ki biwiyo ko) qaas taur par banaya hai
Surah Al-Waqia, Verse 35
فَجَعَلۡنَٰهُنَّ أَبۡكَارًا
aur hum ne unhe kuwaariya bana diya hai
Surah Al-Waqia, Verse 36
عُرُبًا أَتۡرَابٗا
muhabbath waaliya aur hum umr hai
Surah Al-Waqia, Verse 37
لِّأَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ
daaye haath waalo ke liye hai
Surah Al-Waqia, Verse 38
ثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأَوَّلِينَ
jamme ghafeer hai, aglo mein se
Surah Al-Waqia, Verse 39
وَثُلَّةٞ مِّنَ ٱلۡأٓخِرِينَ
aur bahuth badi jamaath hai pichlo mein se
Surah Al-Waqia, Verse 40
وَأَصۡحَٰبُ ٱلشِّمَالِ مَآ أَصۡحَٰبُ ٱلشِّمَالِ
aur baaye haath waale kya hai baaye haath waale
Surah Al-Waqia, Verse 41
فِي سَمُومٖ وَحَمِيمٖ
garam hawa aur garam paani mein honge
Surah Al-Waqia, Verse 42
وَظِلّٖ مِّن يَحۡمُومٖ
aur siyaah dhuye ke saaye mein
Surah Al-Waqia, Verse 43
لَّا بَارِدٖ وَلَا كَرِيمٍ
jo na thanda hai na farhath baqsh
Surah Al-Waqia, Verse 44
إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَبۡلَ ذَٰلِكَ مُتۡرَفِينَ
beshak ye log is se pehle bahuth naazo mein pale hoye thein
Surah Al-Waqia, Verse 45
وَكَانُواْ يُصِرُّونَ عَلَى ٱلۡحِنثِ ٱلۡعَظِيمِ
aur bade bade gunaaho par israar karte thein
Surah Al-Waqia, Verse 46
وَكَانُواْ يَقُولُونَ أَئِذَا مِتۡنَا وَكُنَّا تُرَابٗا وَعِظَٰمًا أَءِنَّا لَمَبۡعُوثُونَ
aur kehte thein ke kya jab hum mar jayenge aur mitthi aur haddi ho jayenge, to kya hum phir dobaara utha khade kiye jayenge
Surah Al-Waqia, Verse 47
أَوَءَابَآؤُنَا ٱلۡأَوَّلُونَ
aur kya hamaare agle baap dada bhi
Surah Al-Waqia, Verse 48
قُلۡ إِنَّ ٱلۡأَوَّلِينَ وَٱلۡأٓخِرِينَ
aap keh dijiye ke yaqinan sab agle aur pichle
Surah Al-Waqia, Verse 49
لَمَجۡمُوعُونَ إِلَىٰ مِيقَٰتِ يَوۡمٖ مَّعۡلُومٖ
zaroor jama kiya jayenge ek muqarrar din ke waqth
Surah Al-Waqia, Verse 50
ثُمَّ إِنَّكُمۡ أَيُّهَا ٱلضَّآلُّونَ ٱلۡمُكَذِّبُونَ
phir tum aye gumraaho jhutlaane waalo
Surah Al-Waqia, Verse 51
لَأٓكِلُونَ مِن شَجَرٖ مِّن زَقُّومٖ
albatta khaane waale ho, tuhar ka daraqth
Surah Al-Waqia, Verse 52
فَمَالِـُٔونَ مِنۡهَا ٱلۡبُطُونَ
aur osi se pet bharne waale ho
Surah Al-Waqia, Verse 53
فَشَٰرِبُونَ عَلَيۡهِ مِنَ ٱلۡحَمِيمِ
phir us par garam khaulta paani pine waale ho
Surah Al-Waqia, Verse 54
فَشَٰرِبُونَ شُرۡبَ ٱلۡهِيمِ
phir pine waale bhi piyaase onto ki tarah
Surah Al-Waqia, Verse 55
هَٰذَا نُزُلُهُمۡ يَوۡمَ ٱلدِّينِ
qayaamath ke din un ki mehmaani ye hai
Surah Al-Waqia, Verse 56
نَحۡنُ خَلَقۡنَٰكُمۡ فَلَوۡلَا تُصَدِّقُونَ
hum hee ne tum sab ko payda kiya hai, phir tum kyo baawar nahi karte
Surah Al-Waqia, Verse 57
أَفَرَءَيۡتُم مَّا تُمۡنُونَ
accha phir ye to bath-laao ke jo mani tum tapkaate ho
Surah Al-Waqia, Verse 58
ءَأَنتُمۡ تَخۡلُقُونَهُۥٓ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡخَٰلِقُونَ
kya us ka (insaan) tum banaate ho, ya payda karne waale hum hee hai
Surah Al-Waqia, Verse 59
نَحۡنُ قَدَّرۡنَا بَيۡنَكُمُ ٱلۡمَوۡتَ وَمَا نَحۡنُ بِمَسۡبُوقِينَ
hum hee ne tum mein mauth ko mutayyan kar diya hai aur hum us se haare hoye nahi hai
Surah Al-Waqia, Verse 60
عَلَىٰٓ أَن نُّبَدِّلَ أَمۡثَٰلَكُمۡ وَنُنشِئَكُمۡ فِي مَا لَا تَعۡلَمُونَ
ke tumhaari jageh tum jaise aur payda karde aur tumhe nay seere se us aalam mein payda kare, jis se tum bilkul be-qabar ho
Surah Al-Waqia, Verse 61
وَلَقَدۡ عَلِمۡتُمُ ٱلنَّشۡأَةَ ٱلۡأُولَىٰ فَلَوۡلَا تَذَكَّرُونَ
tumhe yaqini taur par pehli dafah ki paydayish maloom hee hai, phir kyo ibrath haasil nahi karte
Surah Al-Waqia, Verse 62
أَفَرَءَيۡتُم مَّا تَحۡرُثُونَ
accha phir ye bhi batlaao ke, tum jo kuch bo’te ho
Surah Al-Waqia, Verse 63
ءَأَنتُمۡ تَزۡرَعُونَهُۥٓ أَمۡ نَحۡنُ ٱلزَّـٰرِعُونَ
ose tum hee ugaate ho ya hum ugaane waale hai
Surah Al-Waqia, Verse 64
لَوۡ نَشَآءُ لَجَعَلۡنَٰهُ حُطَٰمٗا فَظَلۡتُمۡ تَفَكَّهُونَ
agar hum chaahe to ose reza reza kar daale aur tum hayrath ke saath baatein banaate hee reh jaao
Surah Al-Waqia, Verse 65
إِنَّا لَمُغۡرَمُونَ
ke hum par to tawaan hee pad gaya
Surah Al-Waqia, Verse 66
بَلۡ نَحۡنُ مَحۡرُومُونَ
balke hum bilkul mehroom hee reh gaye
Surah Al-Waqia, Verse 67
أَفَرَءَيۡتُمُ ٱلۡمَآءَ ٱلَّذِي تَشۡرَبُونَ
accha ye bataao ke jis paani ko tum pite ho
Surah Al-Waqia, Verse 68
ءَأَنتُمۡ أَنزَلۡتُمُوهُ مِنَ ٱلۡمُزۡنِ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡمُنزِلُونَ
ose baadhlo se bhi tum hee utaarte ho ya hum barsaate hai
Surah Al-Waqia, Verse 69
لَوۡ نَشَآءُ جَعَلۡنَٰهُ أُجَاجٗا فَلَوۡلَا تَشۡكُرُونَ
agar hamaari mansha ho, to hum ose kadwa zaher karde, phir tum hamaari shukr guzaari kyo nahi karte
Surah Al-Waqia, Verse 70
أَفَرَءَيۡتُمُ ٱلنَّارَ ٱلَّتِي تُورُونَ
accha zara ye bhi bataao ke jo aag tum sulgaate ho
Surah Al-Waqia, Verse 71
ءَأَنتُمۡ أَنشَأۡتُمۡ شَجَرَتَهَآ أَمۡ نَحۡنُ ٱلۡمُنشِـُٔونَ
us ke daraqth ko tum ne payda kiya hai, ya hum us ke payda karne waale hai
Surah Al-Waqia, Verse 72
نَحۡنُ جَعَلۡنَٰهَا تَذۡكِرَةٗ وَمَتَٰعٗا لِّلۡمُقۡوِينَ
hum ne ose sabab nasihath aur musaafiro ke fayde ki cheez banaya hai
Surah Al-Waqia, Verse 73
فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ
pas apne bahuth bade rab ke naam ki tasbih kiya karo
Surah Al-Waqia, Verse 74
۞فَلَآ أُقۡسِمُ بِمَوَٰقِعِ ٱلنُّجُومِ
pas main qasam khaata hoon, sitaaro ke girne ki
Surah Al-Waqia, Verse 75
وَإِنَّهُۥ لَقَسَمٞ لَّوۡ تَعۡلَمُونَ عَظِيمٌ
aur agar tumhe ilm ho, to ye bahuth badi qasam hai
Surah Al-Waqia, Verse 76
إِنَّهُۥ لَقُرۡءَانٞ كَرِيمٞ
ke beshak ye Qur’aan bahuth badi izzath waala hai
Surah Al-Waqia, Verse 77
فِي كِتَٰبٖ مَّكۡنُونٖ
jo ek mehfooz kitaab mein darj hai
Surah Al-Waqia, Verse 78
لَّا يَمَسُّهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُطَهَّرُونَ
jise sirf paak log hee cho sakte hai
Surah Al-Waqia, Verse 79
تَنزِيلٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
ye rabbul aalameen ki taraf se utra hoa hai
Surah Al-Waqia, Verse 80
أَفَبِهَٰذَا ٱلۡحَدِيثِ أَنتُم مُّدۡهِنُونَ
pas kya tum aisi baath ko sar sari (aur mamoli) samajh rahe ho
Surah Al-Waqia, Verse 81
وَتَجۡعَلُونَ رِزۡقَكُمۡ أَنَّكُمۡ تُكَذِّبُونَ
aur apne hisse mein yahi lete ho ke, jhutlaate phiro
Surah Al-Waqia, Verse 82
فَلَوۡلَآ إِذَا بَلَغَتِ ٱلۡحُلۡقُومَ
pas jab ke ruh nar qare tak pahonch jaaye
Surah Al-Waqia, Verse 83
وَأَنتُمۡ حِينَئِذٖ تَنظُرُونَ
aur tum us waqt aankho se dekhte raho
Surah Al-Waqia, Verse 84
وَنَحۡنُ أَقۡرَبُ إِلَيۡهِ مِنكُمۡ وَلَٰكِن لَّا تُبۡصِرُونَ
hum us shaqs se ba-nisbath tumhaare bahuth zyaada qareeb hote hai, lekin tum nahi dekh sakte
Surah Al-Waqia, Verse 85
فَلَوۡلَآ إِن كُنتُمۡ غَيۡرَ مَدِينِينَ
pas agar tum kisi ke zere farmaan nahi
Surah Al-Waqia, Verse 86
تَرۡجِعُونَهَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
aur us qaul mein sacche ho, to (zara) us ruh ko to lautaao
Surah Al-Waqia, Verse 87
فَأَمَّآ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ
pas jo koyi baar-gaahe ilaahi se qareeb kiya hoa hoga
Surah Al-Waqia, Verse 88
فَرَوۡحٞ وَرَيۡحَانٞ وَجَنَّتُ نَعِيمٖ
ose to raahath hai aur ghizaaye hai aur araam waali jannath hai
Surah Al-Waqia, Verse 89
وَأَمَّآ إِن كَانَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ
aur jo shaqs daahne haath waalo mein se hai
Surah Al-Waqia, Verse 90
فَسَلَٰمٞ لَّكَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡيَمِينِ
to bhi salaamti hai tere liye, ke to daahne waalo mein se hai
Surah Al-Waqia, Verse 91
وَأَمَّآ إِن كَانَ مِنَ ٱلۡمُكَذِّبِينَ ٱلضَّآلِّينَ
lekin agar koyi jhutlaane waalo gumraaho mein se hai
Surah Al-Waqia, Verse 92
فَنُزُلٞ مِّنۡ حَمِيمٖ
to khaulte hoye garam paani ki mehmaani hai
Surah Al-Waqia, Verse 93
وَتَصۡلِيَةُ جَحِيمٍ
aur dozakh mein jaana hai
Surah Al-Waqia, Verse 94
إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ حَقُّ ٱلۡيَقِينِ
ye qabar saraasar haq hai aur qat’an yaqini hai
Surah Al-Waqia, Verse 95
فَسَبِّحۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلۡعَظِيمِ
pas tu apne azeemush shaan parvardigaar ki tasbih kar
Surah Al-Waqia, Verse 96