Surah Al-Ala - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
سَبِّحِ ٱسۡمَ رَبِّكَ ٱلۡأَعۡلَى
(Aey nabi) Apne Rubb-e-bartar kay naam ki tasbeeh karo
Surah Al-Ala, Verse 1
ٱلَّذِي خَلَقَ فَسَوَّىٰ
Jisne paida kiya aur tanasub qayam kiya (then proportioned it)
Surah Al-Ala, Verse 2
وَٱلَّذِي قَدَّرَ فَهَدَىٰ
Jisne taqdeer banayi phir raah dikhayi
Surah Al-Ala, Verse 3
وَٱلَّذِيٓ أَخۡرَجَ ٱلۡمَرۡعَىٰ
Jisne nabataat(pasture) ugayi
Surah Al-Ala, Verse 4
فَجَعَلَهُۥ غُثَآءً أَحۡوَىٰ
Phir unko siyah kuda karkat bana diya
Surah Al-Ala, Verse 5
سَنُقۡرِئُكَ فَلَا تَنسَىٰٓ
Hum tumhey padhwa dengey phir tum nahin bhuloge
Surah Al-Ala, Verse 6
إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّهُۥ يَعۡلَمُ ٱلۡجَهۡرَ وَمَا يَخۡفَىٰ
Siwaye uske jo Allah chahey.Woh zahir ko bhi jaanta hai aur jo kuch posheeda(hidden) hai usko bhi
Surah Al-Ala, Verse 7
وَنُيَسِّرُكَ لِلۡيُسۡرَىٰ
Aur hum tumhein aasaan tarikey ki sahoolat dete hain
Surah Al-Ala, Verse 8
فَذَكِّرۡ إِن نَّفَعَتِ ٱلذِّكۡرَىٰ
lihaza tum naseehat karo agar naseehat nafey(faiydamand) ho
Surah Al-Ala, Verse 9
سَيَذَّكَّرُ مَن يَخۡشَىٰ
Jo shaks darta hai wo naseehat qabool karlega
Surah Al-Ala, Verse 10
وَيَتَجَنَّبُهَا ٱلۡأَشۡقَى
Aur ussey guraiz karega woh intehayi bad-bakht
Surah Al-Ala, Verse 11
ٱلَّذِي يَصۡلَى ٱلنَّارَ ٱلۡكُبۡرَىٰ
Jo badi aag mei jayega
Surah Al-Ala, Verse 12
ثُمَّ لَا يَمُوتُ فِيهَا وَلَا يَحۡيَىٰ
phir na usmein marega aur na jiyega
Surah Al-Ala, Verse 13
قَدۡ أَفۡلَحَ مَن تَزَكَّىٰ
Falah paa gaya woh jisne pakizgi ikhtiyar ki
Surah Al-Ala, Verse 14
وَذَكَرَ ٱسۡمَ رَبِّهِۦ فَصَلَّىٰ
Aur apne Rubb ka naam yaad kiya phir namaz padhi
Surah Al-Ala, Verse 15
بَلۡ تُؤۡثِرُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا
Magar tumlog duniya ki zindagi ko tarjeeh detay ho
Surah Al-Ala, Verse 16
وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ وَأَبۡقَىٰٓ
halaanke aakhirat behtar hai aur baqi rehne wali hai
Surah Al-Ala, Verse 17
إِنَّ هَٰذَا لَفِي ٱلصُّحُفِ ٱلۡأُولَىٰ
Yahi baat pehle aaey huey saheefon(scriptures) mei bhi kahi gayi thi
Surah Al-Ala, Verse 18
صُحُفِ إِبۡرَٰهِيمَ وَمُوسَىٰ
Ibrahim aur Moosa ke saheefon mein
Surah Al-Ala, Verse 19