Surah Al-Muddathir - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡمُدَّثِّرُ
aye kapda udne waale
Surah Al-Muddathir, Verse 1
قُمۡ فَأَنذِرۡ
khada ho ja aur agaah karde
Surah Al-Muddathir, Verse 2
وَرَبَّكَ فَكَبِّرۡ
aur apne rab hee ki badaaiya bayaan kar
Surah Al-Muddathir, Verse 3
وَثِيَابَكَ فَطَهِّرۡ
apne kapdo ko paak rakha kar
Surah Al-Muddathir, Verse 4
وَٱلرُّجۡزَ فَٱهۡجُرۡ
na paaki ko chohd de
Surah Al-Muddathir, Verse 5
وَلَا تَمۡنُن تَسۡتَكۡثِرُ
aur ehsaan kar ke zyaada lene ki qaahish na kar
Surah Al-Muddathir, Verse 6
وَلِرَبِّكَ فَٱصۡبِرۡ
aur apne rab ki raah mein sabr kar
Surah Al-Muddathir, Verse 7
فَإِذَا نُقِرَ فِي ٱلنَّاقُورِ
pas jab ke soor mein phok maari jaayegi
Surah Al-Muddathir, Verse 8
فَذَٰلِكَ يَوۡمَئِذٖ يَوۡمٌ عَسِيرٌ
to wo din bada saqt din hoga
Surah Al-Muddathir, Verse 9
عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ غَيۡرُ يَسِيرٖ
(jo) kaafiro par asaan na hoga
Surah Al-Muddathir, Verse 10
ذَرۡنِي وَمَنۡ خَلَقۡتُ وَحِيدٗا
mujhe aur ise chohd de, jise main ne akela payda kiya hai
Surah Al-Muddathir, Verse 11
وَجَعَلۡتُ لَهُۥ مَالٗا مَّمۡدُودٗا
aur ose bahuth sa maal de rakha hai
Surah Al-Muddathir, Verse 12
وَبَنِينَ شُهُودٗا
aur haazir baash farzandh bhi
Surah Al-Muddathir, Verse 13
وَمَهَّدتُّ لَهُۥ تَمۡهِيدٗا
aur main ne ose bahuth kuch kushaadgi de rakhi hai
Surah Al-Muddathir, Verse 14
ثُمَّ يَطۡمَعُ أَنۡ أَزِيدَ
phir bhi us ki chaahath hai ke main ose aur zyaada doon
Surah Al-Muddathir, Verse 15
كَلَّآۖ إِنَّهُۥ كَانَ لِأٓيَٰتِنَا عَنِيدٗا
nahi nahi, wo hamaari aayato ka muqaalif hai
Surah Al-Muddathir, Verse 16
سَأُرۡهِقُهُۥ صَعُودًا
an-qareeb main ose ek saqth chadaayi chadaonga
Surah Al-Muddathir, Verse 17
إِنَّهُۥ فَكَّرَ وَقَدَّرَ
us ne ghaur kar ke tajweez ki
Surah Al-Muddathir, Verse 18
فَقُتِلَ كَيۡفَ قَدَّرَ
ose halaakath ho kaisi (tajweez) sonchi
Surah Al-Muddathir, Verse 19
ثُمَّ قُتِلَ كَيۡفَ قَدَّرَ
wo phir ghaarath ho, kis tarah andaaza kiya
Surah Al-Muddathir, Verse 20
ثُمَّ نَظَرَ
us ne phir dekha
Surah Al-Muddathir, Verse 21
ثُمَّ عَبَسَ وَبَسَرَ
phir tewri1 chadaayi aur mu banaya
Surah Al-Muddathir, Verse 22
ثُمَّ أَدۡبَرَ وَٱسۡتَكۡبَرَ
phir bhi piche hat gaya aur ghuroor kiya
Surah Al-Muddathir, Verse 23
فَقَالَ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ يُؤۡثَرُ
aur kehne laga ye to sirf jaadu hai jo naql kiya jaata hai
Surah Al-Muddathir, Verse 24
إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا قَوۡلُ ٱلۡبَشَرِ
sivaaye insaani kalaam ke, kuch bhi nahi
Surah Al-Muddathir, Verse 25
سَأُصۡلِيهِ سَقَرَ
main an-qareeb ose dozakh mein dalonga
Surah Al-Muddathir, Verse 26
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا سَقَرُ
aur tujhe kya qabar ke dozakh kya cheez hai
Surah Al-Muddathir, Verse 27
لَا تُبۡقِي وَلَا تَذَرُ
na wo baaqi rakhti hai na chohdti hai
Surah Al-Muddathir, Verse 28
لَوَّاحَةٞ لِّلۡبَشَرِ
qaal ko jhulsa deti hai
Surah Al-Muddathir, Verse 29
عَلَيۡهَا تِسۡعَةَ عَشَرَ
aur us mein unnis(19) (farishte muqarrar) hai
Surah Al-Muddathir, Verse 30
وَمَا جَعَلۡنَآ أَصۡحَٰبَ ٱلنَّارِ إِلَّا مَلَـٰٓئِكَةٗۖ وَمَا جَعَلۡنَا عِدَّتَهُمۡ إِلَّا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيَسۡتَيۡقِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَيَزۡدَادَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِيمَٰنٗا وَلَا يَرۡتَابَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَلِيَقُولَ ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ وَٱلۡكَٰفِرُونَ مَاذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلٗاۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ ٱللَّهُ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۚ وَمَا يَعۡلَمُ جُنُودَ رَبِّكَ إِلَّا هُوَۚ وَمَا هِيَ إِلَّا ذِكۡرَىٰ لِلۡبَشَرِ
hum ne dozakh ke daaroghe sirf farishte rakhe hai aur hum ne un ki tedaadh sirf kaafiro ki azmaayesh ke liye muqarrar ki hai, ta ke ahle kitaab yaqeen karle aur ahle imaan ke imaan mein izaafa ho jaaye aur ahle kitaab aur ahle imaan shak na kare aur jin ke dilo mein bimaari hai, wo aur kaafir kahe ke is bayaan se Allah ta’ala ki kya muraad hai? isi tarah Allah ta’ala jise chaahta hai gumraah karta hai aur jise chaahta hai hidaayath deta hai, tere rab ke lashkaro ko us ke siva koyi nahi jaanta, ye tawakkal bani aadam ke liye saraasar pandh wa nasihath hai
Surah Al-Muddathir, Verse 31
كَلَّا وَٱلۡقَمَرِ
sach kehta hoon, qasam hai chaandh ki
Surah Al-Muddathir, Verse 32
وَٱلَّيۡلِ إِذۡ أَدۡبَرَ
aur raath ki jab wo piche ha-te
Surah Al-Muddathir, Verse 33
وَٱلصُّبۡحِ إِذَآ أَسۡفَرَ
aur subah ki jab ke roushan ho jaaye
Surah Al-Muddathir, Verse 34
إِنَّهَا لَإِحۡدَى ٱلۡكُبَرِ
ke (yaqinan jahannam) badi chizo mein se ek hai
Surah Al-Muddathir, Verse 35
نَذِيرٗا لِّلۡبَشَرِ
bani aadam ko daraane waali
Surah Al-Muddathir, Verse 36
لِمَن شَآءَ مِنكُمۡ أَن يَتَقَدَّمَ أَوۡ يَتَأَخَّرَ
(yani) ose, jo tum mein se aage badna chaahe ya piche hatna chaahe
Surah Al-Muddathir, Verse 37
كُلُّ نَفۡسِۭ بِمَا كَسَبَتۡ رَهِينَةٌ
har shaqs apne amaal ke badhle mein girvi hai
Surah Al-Muddathir, Verse 38
إِلَّآ أَصۡحَٰبَ ٱلۡيَمِينِ
magar daaye haath waale
Surah Al-Muddathir, Verse 39
فِي جَنَّـٰتٖ يَتَسَآءَلُونَ
ke wo bahishto mein baithe hoye gunehgaaro se
Surah Al-Muddathir, Verse 40
عَنِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
sawaal karte honge
Surah Al-Muddathir, Verse 41
مَا سَلَكَكُمۡ فِي سَقَرَ
tumhe dozakh mein kis cheez ne daala
Surah Al-Muddathir, Verse 42
قَالُواْ لَمۡ نَكُ مِنَ ٱلۡمُصَلِّينَ
wo jawaab denge ke hum namaazi na thein
Surah Al-Muddathir, Verse 43
وَلَمۡ نَكُ نُطۡعِمُ ٱلۡمِسۡكِينَ
na miskino ko khaana khilaate thein
Surah Al-Muddathir, Verse 44
وَكُنَّا نَخُوضُ مَعَ ٱلۡخَآئِضِينَ
aur hum behez karne waale (inkaariyo) ka saath de kar behes mubahese mein mashghool raha karte thein
Surah Al-Muddathir, Verse 45
وَكُنَّا نُكَذِّبُ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
aur roze jaza ko jhutlaate thein
Surah Al-Muddathir, Verse 46
حَتَّىٰٓ أَتَىٰنَا ٱلۡيَقِينُ
yahaa tak ke hamein mauth aa gayi
Surah Al-Muddathir, Verse 47
فَمَا تَنفَعُهُمۡ شَفَٰعَةُ ٱلشَّـٰفِعِينَ
pas unhe sifaarish karne waalo ki sifaarish nafa na degi
Surah Al-Muddathir, Verse 48
فَمَا لَهُمۡ عَنِ ٱلتَّذۡكِرَةِ مُعۡرِضِينَ
unhe kya ho gaya hai? ke nasihath se mu mod rahe hai
Surah Al-Muddathir, Verse 49
كَأَنَّهُمۡ حُمُرٞ مُّسۡتَنفِرَةٞ
goya ke wo bidhke hoye ghadhe hai
Surah Al-Muddathir, Verse 50
فَرَّتۡ مِن قَسۡوَرَةِۭ
jo sher se bhaage ho
Surah Al-Muddathir, Verse 51
بَلۡ يُرِيدُ كُلُّ ٱمۡرِيٕٖ مِّنۡهُمۡ أَن يُؤۡتَىٰ صُحُفٗا مُّنَشَّرَةٗ
balke un mein se har shaqs chaahta hai ke, ose khuli hoyi kitaabe di jaaye
Surah Al-Muddathir, Verse 52
كَلَّاۖ بَل لَّا يَخَافُونَ ٱلۡأٓخِرَةَ
har giz aisa nahi (ho sakta balke) ye qayaamath se be-khauf hai
Surah Al-Muddathir, Verse 53
كَلَّآ إِنَّهُۥ تَذۡكِرَةٞ
sacchi baath to ye hai ke ye (Qur’aan) ek nasihath hai
Surah Al-Muddathir, Verse 54
فَمَن شَآءَ ذَكَرَهُۥ
ab jo chaahe is se nasihath haasil kare
Surah Al-Muddathir, Verse 55
وَمَا يَذۡكُرُونَ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ هُوَ أَهۡلُ ٱلتَّقۡوَىٰ وَأَهۡلُ ٱلۡمَغۡفِرَةِ
aur wo us waqt nasihath haasil karenge, jab Allah ta’ala chaahe, wo osi laayeq hai ke us se dare aur us laayeq bhi ke wo baqshe
Surah Al-Muddathir, Verse 56